phul wo de kar mujhe kanton ka gulshan de gaya ek lamhe ka sukun sadiyon ki uljhan de gaya kam-nigahi thi meri ya sada-lauhi kya kahun le ke wo sona mera pital ke kangan de gaya wo koi munsif na tha jo de ke mera ghar tumhein sadiyon sadiyon ke liye aapas ki an-ban de gaya sazishon ki zad mein hai shaikh-e-haram ki zindagi ye khabar chupke se ek budha barahman de gaya mustaqil rahta hai mere sath sae ki tarah ek mubham khauf-e-jaan jo mera dushman de gaya ham-safar bhi lut leta hai musafir ko kabhi ye sabaq mujh ko 'umar' khud mera rahzan de gaya