wahshat mein su-e-dasht jo ye aah le gai kya kya kunen jhukane teri chah le gai aae kabhi na rah pe kya jaaniye hamein kidhar ko ye tabiat gumrah le gai kabe mein bhi gae to hamein teri yaad aah phir su-e-dair ai but-e-dil-khwah le gai us ne kahan bulaya tha ye is ke ghar hamein nahaq zaban-e-khalq ki afwah le gai jarub-kash ne us ke na rahne diya mujhe gardan nasim shakl-e-par-e-kah le gai jun tir dil se aah jo nikle to kya kahun bas jaan ko bhi apne wo hamrah le gai 'asif' chaman mein aate hi us rashk-e-gul ki yaad kya jaaniye kidhar mujhe nagah le gai