dukhati hai dil phir mohabbat kisi ki ki aankhon mein phirti hai surat kisi ki na puchho ye hain sikka-e-dagh kis ke ye daulat mili hai badaulat kisi ki pur-arman ahbab duniya se utthe falak ne nikali na hasrat kisi ki ye aalam hai apna ki kahta hai aalam ilahi na ho aisi haalat kisi ki ajab be-murawwat se pala pada hai kahan tak kare koi minnat kisi ki uda le gai sarw se qumriyon ko qayamat hai buta si qamat kis ki main is dil ka sathi nahin aashiqi mein bala meri le sar par aafat kisi ki nazar mein hain yaran-e-rafta ke jalse khush aati nahin mujh ko sohbat kisi ki wo kya din the ai dil tujhe yaad hai kuchh wo meri khushamad wo nakhwat kisi ki bahut bad hai ai ishq sarkar tere na izzat kisi ki na hurmat kisi ki shikanje mein rahta hai dil aadmi ka khuda band rakkhe na hajat kisi ki kahe mujh ko jo jis ka ji chahe lekin kabhi mujh se hogi na ghibat kisi ki abas 'bahr' marte ho tum har kisi par mubarak nahin tum ko chahat kisi ki