wahshat-zada dil to jun sharar hai is ke tain aap se safar hai tum jaur-o-jafa karo jo chaho in baaton pe kab mujhe nazar hai tu aap hi khair aap shar hai kuchh aur na nafa ne zarar hai hum be-khabron se rah khabar-dar itni to bhala tujhe khabar hai guzri jati hai har tarah se duniya guzran sar-ba-sar hai dil ke khatron se be-khatar hun sar se panw talak khatar hai tu ne hi to yun nidar kiya hai bas ek mujhe tera hi dar hai yun dard ba-jaan-o-dil samaya har nala-o-ah kargar hai ya hazrat-e-andalib bakhshish ye tere hi dard ka asar hai dil teri taraf hai nit par is ko malum nahin ki tu kidhar hai yun aankh se aankh mein mila hai itna to mera dil o jigar hai be-dard tu kyunki rah sakega ye hazrat-e-'dard' ka 'asar' hai