wo hasb-e-wada na aaya to aankh bhar aai mujhe tamasha banaya to aankh bhar aai saja ke rakhta tha palkon pe jis ko main aksar nazar se us ne giraya to aankh bhar aai hamesha karta tha meri jo naz-bardari isi ka naz uthaya to aankh bhar aai jise samajhta tha main dil-nawaz jab us se sukun-e-qalb na paya to aankh bhar aai wo mujh se bharta tha dum dosti ka lekin jab adu se hath milaya to aankh bhar aai na tha ye wahm-o-guman mujh ko wo bulaega achanak us ne bulaya to aankh bhar aai nahin hai shikwa koi dushmanon se ai 'barqi' fareb dost se khaya to aankh bhar aai