wahshaten badhti gain hijr ke aazar ke sath ab to hum baat bhi karte nahin gham-khwar ke sath hum ne ek umr basar ki hai gham-e-yar ke sath 'mir' do din na jiye hijr ke aazar ke sath ab to hum ghar se nikalte hain to rakh dete hain taq par izzat-e-sadat bhi dastar ke sath is qadar khauf hai ab shahr ki galiyon mein ki log chap sunte hain to lag jate hain diwar ke sath ek to khwab liye phirte ho galiyon galiyon us pe takrar bhi karte ho kharidar ke sath shahr ka shahr hi naseh ho to kya kijiyega warna hum rind to bhid jate hain do-chaar ke sath hum ko us shahr mein tamir ka sauda hai jahan log meamar ko chun dete hain diwar ke sath jo sharaf hum ko mila kucha-e-jaanan se 'faraaz' su-e-maqtal bhi gae hain usi pindar ke sath