guzra bana-e-charkh se nala pagah ka khana-kharab ho jiyo is dil ki chah ka aankhon mein ji mera hai udhar dekhta nahin marta hun mein to hae re sarfa nigah ka sad khanuman-kharab hain har har qadam pe dafan kushta hun yar main to tere ghar ki rah ka yak qatra khun ho ke palak se tapak pada qissa ye kuchh hua dil ghufran-panah ka talwar marna to tumhein khel hai wale jata rahe na jaan kaso be-gunah ka bad-nam-o-khwar-o-zar-o-nazar-o-shikasta-haal ahwal kuchh na pochhiye us ru-siyah ka zalim zamin se lautta daman utha ke chal hoga kamin mein hath kaso dad-khwah ka ai taj-e-shah na sar ko farw laun tere pas hai mo'taqid faqir namad ki kulah ka har lakht-e-dil mein said ke paikan bhi gae dekha main shokh thath teri said-e-gah ka bimar tu na howe jiye jab talak ki 'mir' sone na dega shor teri aah aah ka