wahshaten bhi kitni hain aagahi ke paikar mein

wahshaten bhi kitni hain aagahi ke paikar mein
jal raha hai suraj bhi raushni ke paikar mein

raat meri aankhon mein kuchh ajib chehre the
aur kuchh sadaen thin khamushi ke paikar mein

har taraf sarabon ke kuchh hasin manzar the
aur main bhi hairan tha tishnagi ke paikar mein

main ne to tasawwur mein aur aks dekha tha
fikr mukhtalif kyun hai shaeri ke paikar mein

rup rang milta hai khadd-o-khal milte hain
aadmi nahin milta aadmi ke paikar mein

kya bataen hum dil par 'shad' kya guzarti hai
gham chhupana padta hai jab khushi ke paikar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close