wahshaton ko bhi ab kamal kahan ab junun kar-e-be-misal kahan khud se bhi mangti nahin khud ko tujh se phir khwahish-e-sawal kahan mere ham-rang pairahan pahne sham aisi shikasta-haal kahan subh ki bhid mein kahun kis se ho gai raat paemal kahan meri sab haalaton ko jaan sake koi aisa sharik-e-haal kahan tere khwabon ke baad aankhon mein ho sake raushni bahaal kahan be-irada jo bakhsh di tu ne is khushi ka tujhe khayal kahan dhundte dhundte main thak bhi gai kho gae mere mah-o-sal kahan