waqt qarib hai phir manzar ke badalne ka suraj ki zid dekho ye nahin dhalne ka main bhi talash-e-ab-e-hawas mein nikla hun shor suna tha ek chashme ke ubalne ka ahl-e-junun kyun dasht mein aana chhod diya bhul gae fan nok-e-khar pe chalne ka subh talak is shahr mein jaane kya ho jae rishta dhundho raaton-raat nikalne ka yaad-e-yar ka aa jaana bhi thik sahi raaz magar gahra hai dil ke machalne ka