wahshi the bu-e-gul ki tarah is jahan mein hum nikle to phir ke aae na apne makan mein hum sakin hain josh-e-ashk se aab-e-rawan mein hum rahte hain misl-e-mardum-e-abi jahan mein hum shaida-e-ru-e-gul na to shaida-e-qadd-e-sarw sayyaad ke shikar hain is bostan mein hum nikli labon se aah ki gardun nishana tha goya ki tir jode hue the kaman mein hum aaluda-e-gunah hai apna riyaz bhi shab katte hain jag ke mugh ki dukan mein hum himmat pas-az-fana sabab-e-zikr-e-khair hai murdon ka nam sunte hain har dastan mein hum saqi hai yar-e-mah-liqa hai sharab hai ab baadshah-e-waqt hain apne makan mein hum nairang-e-rozgar se aiman hain shakl-e-sarw rakhte hain ek haal bahaar-o-khizan mein hum duniya o aakhirat mein talabgar hain tere hasil tujhe samajhte hain donon jahan mein hum paida hua hai apne liye boriya-e-faqr ye nistan hai sher hain is nistan mein hum khwahan koi nahin to kuchh is ka ojab nahin jins-e-giran-baha hain falak ki dukan mein hum likkha hai kis ke khanjar-e-mizhgan ka us ne wasf ek zakhm dekhte hain qalam ki zaban mein hum kya haal hai kisi ne na puchha hazar haif nalan rahe jaras ki tarah karwan mein hum aaya hai yar fatiha padhne ko qabr par bedar bakht-e-khufta hai khwab-e-giran mein hum shagird tarz-e-khanda-zani mein hai gul tera ustad-e-andalib hain soz-o-fughan mein hum bagh-e-jahan ko yaad karenge adam mein kya kunj-e-qafas se tang rahe aashiyan mein hum allah-re be-qarari-e-dil hijr-e-yar mein gahe zamin mein the to gahe aasman mein hum darwaza band rakhte hain misl-e-hubab-e-bahr qufl-e-durun-khana hain apne makan mein hum 'atish' sukhan ki qadr zamane se uth gai maqdur ho to qufl laga den zaban mein hum