waise hamara duniya se lena na dena hai phir bhi jo mangti hai faqirana dena hai ulte sawal karti rahe hum se ye hayat hum ne jawab to koi sidha na dena hai agli dukan-e-ishq ka khata nahin khula pichhli ka koi hum ko baqaya na dena hai hum apna taj-o-takht uthaenge soch kar mitti ko jo bhi dena hai shahana dena hai kahiyo kabhi akele mein wo nama-bar mile gali na deni hai use tana na dena hai hum soch kar ye ret ki takhti pe likhte hain ye imtihan hum ko dobara na dena hai ta-hashr is makan ka har ahl-e-qabr ko tum kya samajh rahe ho kiraya na dena hai baithe raho machan par aahu-e-shauq ko bas dekhna hai dur se bidka na dena hai