ya-rab is inqalab se ghabra raha hun main ab dil raha na dil ki tamanna raha hun main gham mangta hun aur khushi pa raha hun main kis husn se tabah kiya ja raha hun main mere siwa sabhi jise kahte hain zindagi tere firaq mein wo saza pa raha hun main taron ki tarah raushan-o-mahfuz hun magar duniya ko dekh dekh ke tharra raha hun main aaega in labon pe tabassum na mere baad sari bahaar lut ke le ja raha hun main rutba-shanas-e-zarra-o-khurshid hun magar har chiz par nigah ko thahra raha hun main himmat bandhi rahe to gham-e-do-jahan kya tum chup ho bas isi liye ghabra raha hun main ai kohnagi-e-nazm-e-shab-o-roz hoshiyar dil se ek aaftab ko chamka raha hun main us waqt intizar ka aalam na puchhiye jab koi bar bar kahe aa raha hun main karta hun dil mein sham ko yun subh ka khayal jaise kisi qusur pe pachhta raha hun main dair-o-haram ke dam bichha kar zamin par kis kis tarah talash kiya ja raha hun main yaad aa na ai nasim-e-sahar ai shaguftagi ab dhup tez ho gai murjha raha hun main qabze mein do jahan nahin ai dost kya karun sar rakh ke tere panw pe pachhta raha hun main ab zabt-e-gham ki laj hai 'shadan' khuda ke hath ab tak to dil ki baat chhupata raha hun main