waise to insan khuda ka khas khalifa banta hai lekin jo haalat hain is ke un par rona banta hai hum bhi tere sath khade hain sabz ruton ke manzar mein phul aur kante sath rahen to phir baghicha banta hai kitni tahziben mitti hain phir banti hai ek tahzib kitni naslon ki mehnat se ek rawayya banta hai main kahta hun qarya qarya dhund ke milta hai ek shakhs main kahta hun dariya dariya mil kar qatra banta hai saya kya ham-zad bhi aise waqt mein sath nahin deta chhod ke jaane wale tera chhod ke jaana banta hai har mauqa par pith ke pichhe khanjar ghonpne wala shakhs samne jab aa jata hai to kitna achchha banta hai felun felun karne se ashaar nahin bante hain dost dhaaro dhaar lahu girta hai misra misra banta hai