waise to sare log hi pani ke ho rahe

waise to sare log hi pani ke ho rahe
un mein se kuchh hi log rawani ke ho rahe

chalne lage to naql-e-makani ke ho rahe
un mein se hum nahin hain jo nani ke ho rahe

din bhar rahe nisar chaman mein gulab par
dhalte hi sham raat ki rani ke ho rahe

soz-o-gudaz shauq-o-hawas jurat-o-junun
kirdar mere us ki kahani ke ho rahe

hum ko hamari tez-rawi ne kiya halak
bachpan mein hi to the ki jawani ke ho rahe

main be-libas tha meri chadar the mere sher
surat-haram sare maani ke ho rahe

taslim doston ne diya is qadar fareb
majbur ho ke dushman-e-jaani ke ho rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close