waiz piye hue hun khuda ke liye na chhed dhadka mita hua hai azab o sawab ka ya-rab unhen bahisht mein jaana na ho nasib jo lutf utha chuke hain shab-e-mahtab ka kya kya bigad rahe hain wo ban ban ke bazm mein aashob-e-rozgar hai aalam itab ka phir chahta hai dil ki wahi tak-jhank ho phad dhundhta hun lutf sawal o jawab ka zahid ko baada-khwari ka chaska laga diya ye kaam umr bhar mein hua hai sawab ka shokhi to ye hai bazm mein baithe hain is tarah goya khincha hua hai muraqqa hijab ka