nahin ye jit nahin hai tu is ko mat samajh ki tere sath yahan ho gaya hai hath samajh main apne payaade se tera wazir marunga ba-ghaur dekh meri chaal wardat samajh kisi kisi pe hi khulte hain pech-o-kham mere main itna sahl nahin meri mushkilat samajh mohabbat itni riayat nahin diya karti agar wo hans ke bhi dekhe to iltifat samajh meri kahani tere chehre par likhi hui hai main aaina hun mujhe dekh aur baat samajh dafina jaan in aankhon ko hijr mein us ke jo in mein ashk hain pinhan nawadiraat samajh guzar chuka hai agar tu sin-e-bulughat se tu apne jism ko ab wajibuzzakat samajh nazar ko ek hi nuqte pe murtakiz kar le dil-o-nigah ki uljhan ko ek sath samajh dhadak raha hai ye kis shakhs ki mohabbat mein samajh mein aaen to dil ke muamalat samajh ye chalte-phirte hue but hain aadmi to nahin zamin pe chaar-su barpa hai somnat samajh ek ek lafz alamat hai husn-e-fitrat ki ye shairi hai so is ki jamaliyat samajh ruke hue bhi safar kar rahi hai khak meri guzar rahi hai guzare bina hayat samajh khuli hai jab se teri kina-parwari mujh par to aa gai hai mujhe ek ek baat samajh tujhe ye ishq ki jaanib dhakel sakta hai samajh raha hai to dil ko bhi dost ghat samajh jo mujh pe bita hai main ne wahi likha hai 'zeb' tu mere sheron ko bas mere tajrabaat samajh