wajh-e-qarar-o-rahat-e-dil-zadagan hai tu ki main lafz-e-yaqin hai tu ki main harf-e-guman hai tu ki main tera bhi aastan wahi mera bhi aashiyan wahi us ki sahar hai tu ki main us ki azan hai tu ki main jis ki tarash ke liye khud ko lahu lahu kiya ab usi rahguzar ka sang-e-giran hai tu ki main apni khabar se be-khabar apni hi zat se mafar apni hi dastan ka ek harf-e-ziyan hai tu ki main jis ki nazar mein khar hai arz-e-watan ki aabru us ka hadaf hai tu ki main us ki kaman hai tu ki main