ye gardish-e-haalat ye afkar-e-zindagi

ye gardish-e-haalat ye afkar-e-zindagi
kat jae jaise bhi ho shab-tar-e-zindagi

rakhta hai us ko kitne masail mein gher kar
aazad ho na jae giraftar-e-zindagi

ab aur kya nisar karen tujh pe ai hayat
sab kuchh luta chuke sar-e-bazar-e-zindagi

main kya kahun ki sharm si aati hai doston
jab dekhta hun pasti-e-kirdar-e-zindagi

kya dekhte hi dekhte sab kuchh badal gae
raftar-e-zindagi na wo guftar-e-zindagi

kya khak kam hon 'taj' ye aalam-e-rozgar
hai zindagi ke sath ye aazar-e-zindagi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close