wajud-e-barq zaruri hai gulistan ke liye payam lati hai tamir aashiyan ke liye azal se ta-ba-qayamat sukun nahin milta mere nasib ki gardish hai aasman ke liye ye aur baat hai phulon ka tang daman hai bahaaren phirti hain betab gulistan ke liye na puchh haal-e-dil-e-zar ham-nashin mujh se kaleja chahiye patthar ka raazdan ke liye mera aur un ka talluq hai is tarah jaise zaban dahan ke liye hai dahan zaban ke liye meri jabin se tera aastan na chhutega ki ye bani hai tere sang-e-astan ke liye ghazab hua unhin tinkon pe gir padi bijli jinhen sambhaal ke rakkha tha aashiyan ke liye teri talab mein phiraata hai mujh ko dasht-ba-dasht wo zauq-o-shauq jo rahbar hai karwan ke liye khuda ke samne jaana padega khali hath ki shams' jama na kar pae kuchh wahan ke liye