kahan nasib zamurrad ko surkh-rui ye samajh mein lal ki ab tak hina nahin aai khajil hai aankhon se nargis gulab galon se wo kaun phul hai jis ko haya nahin aai umad raha hai pada dil mein shauq zulfon ka ye jhum jhum ke kali ghata nahin aai ho jis se aage wo but hum se ham-sukhan waiz kahin hadis mein aisi dua nahin aai zaban pe us ki hai har dam meri bala aae bala bhi aae to samjho bala nahin aai shab-e-firaq ka chhaya hua hai rob aisa bula bula ke thake hum qaza nahin aai nazar hai yar ki 'shahbaz' kimiya-tasir par apne hisse mein ye kimiya nahin aai