wajud-e-be-haqiqat par na itna shadman hota jo asrar-e-haqiqat ka bhi insan raaz-dan hota mujhe teri khushi thi kyon gham-e-sud-o-ziyan hota tere hote jo ye hota to jina raegan hota chaman mein in ki barbaadi pe kahiye main kahan hota agar in chaar tinkon par madar-e-ashiyan hota mujhe parwa nahin hoti to ye sab kuchh kahan hota kidhar daur-e-bahaar aati kahan roz-e-khizan hota nae andaz se kuchh shikwa-e-jaur-e-butan hota nai tarz-e-fughan hoti naya rang-e-bayan hota wufur-e-shauq-e-sajda mein kahan sar phodte ja kar jo apne samne un ka na sang-e-astan hota khizan ka daur hi rahta to achchha tha chaman walo na gulshan mein bahaar aati na koi bad-guman hota masaib ka zamana aata jata hai to achchha hai azab-e-zindagi hota agar ye jawedan hota ye sara apni kamzori se daur-e-na-tawani hai budhapa aa ke kya leta agar azm-e-jawan hota mita le aasman be-sarparasti bazm-e-hasti hai teri piri nahin chalti agar pir-e-mughan hota khayal aata hai jab duniya meri baaton pe hansti hai jahan-e-zist mein apna bhi koi raazdan hota burai se agar daman ko 'khushtar' hum bacha lete to is tamir-e-nau se daur-e-khush-haali ayan hota