un se zahe-nasib mulaqat ho gai bole bhi kuchh nahin to badi baat ho gai aashiq fareb-e-wada-e-farda mein aa gaya jaise tumhaari baat koi baat ho gai dil par jama jo rang junun-e-bahaar ka meri khirad bhi shamil-e-haalat ho gai ruthe hue se ham-nafas-o-ham-khayal hain aise ki jaise hum se koi baat ho gai wahm-o-guman sab un ke tasawwur mein bas gae bazm-e-hayat bazm-e-khayalat ho gai tar-e-nafas ne saz-e-gham-e-dil suna diya dil ki lagi bhi shamil-e-naghmat ho gai karne lage gunah bhi tauba ye kya hua kya bazm-e-zist bazm-e-khurafat ho gai duniya ka khel aur bisat-e-tawahhumat aakhir yahi hua ki hamein mat ho gai apna liya unhon ne to aalam badal gaya jins-e-wafa jahan mein saughat ho gai 'khushtar' wo qadr-danon mein saz-e-tarab bani apni ghazal bhi hasil-e-naghmat ho gai