wajud-e-dil ke darwazon ki kunji kaun rakhta hai faqiron ke barabar ganj-e-makhfi kaun rakhta hai wahan pahuncha diya hai mujh ko angusht-e-tafakkur ne jahan mere siwa yaad-e-ilahi kaun rakhta hai ye qatra kaun hai ye naqsh-e-uryan bij hai kis ka badan mein sang-e-buniyaad-e-maani kaun rakhta hai jala kar khair ashya ko tanur-e-chashm-e-hasti mein nazar koi baqa par itni gahri kaun rakhta hai lahu sahba badan mina-e-khaki ban gaya 'kawish' zara dekho to yun faizan-e-saqi kaun rakhta hai