us ke nibhne ke kuchh nahin asbab wo taghaful-shiar main be-tab wajib-ul-qatl hai dil-e-betab kushta hona hi khub hai simab abr ki tirgi mein hum ko to sujhta kuchh nahin siwae sharab apni kashti ka hai khuda-hafiz pichhe tufan hai samne girdab bosa manga to ye jawab mila sikhiye pahle ishq ke aadab us ko phirta hai dhundhta har-su kyun kar aankhon se ud na jae khwab dard-e-ulfat jo hote hi marte ye aziyyat na khinchte ahbab nahin mumkin ki jama hon donon saqi-e-mehr-wash shab-e-mahtab samne us ke jo thahar jaen nahin be-tabiyon ko itni tab ahl-e-alam se chahta hun wafa us ka talib hun jo ki hai nayab ishq ke sath hi gae dil-o-din aa gai sail bah gaya asbab saf fiqre hun aur hamin par hon shewa achchha to hai mera aadab hoti gar is jahan mein kuchh khubi kahte kyun phir sifat mein is ki kharab aazmana na dil ko sakhti se tut jae na ye dur-e-nayab kis tarah bahr-e-ishq se niklun ye to dariya kahin nahin payab shoala-e-husn tera kya kahna phunk de us ke parda-ha-e-hijab us ki shokhi ka hai tajjub kya husn ye kuchh aur us pe ain shabab 'ghaalib' aae hain lao ai 'majruh' baada-e-nab mein mila ke gulab