wajud ka inhisar go khak par nahin tha magar main apni zamin se be-khabar nahin tha ajab tarah ka tilism tha is mafariqat mein badan larazta tha aur aankhon mein dar nahin tha lahu se main ne diye ki lau sarfaraaz rakkhi wahan jahan par hawaon ka bhi guzar nahin tha magar bahut der baad ja kar khabar hui thi wo mere hamrah tha mera ham-safar nahin tha so main ne aakhir larazta patta hadaf banaya ki wo parinda to aaj bhi shakh par nahin tha