khushi bhi ab sarapa gham lage hai tawajjoh aap ki kuchh kam lage hai koi hamdam nahin duniya mein lekin jise dekho wahi hamdam lage hai main hun majbur apne dil se mujh ko paraya gham bhi apna gham lage hai bahaaren hain chaman mein gul ba-daman khizan ka sa magar mausam lage hai jidhar dekho udhar shabnam ke aansu chaman kya hai saf-e-matam lage hai har ek majbur se kah do ye 'asad' har ek maghrur ka sar kham lage hai