wajud khwab mein dhal kar nidhaal thodi hai mere shuur mein itni majal thodi hai zamana bit gaya khud se rasm-o-rah kiye hamara khud se talluq bahaal thodi hai mere zamin se uthte hue wajud ko dekh ye raqs-e-wajd hai pagal dhamal thodi hai har ek maqam pe qaem rahe hain hosh-o-hawas hamari qais ke jaisi misal thodi hai ata hui hai kisi dard intiha ke ewaz ye shairi mera apna kamal thodi hai ye zindagi hai kisi aur imtihan ka rog mere nisab mein shamil sawal thodi hai haqaeq-e-gham-e-duniya se mat chura aankhen saron pe hijr tana hai visal thodi hai hamein to 'abdi' shair bana diya us ne ye ishq kar-e-sukhan hai wabaal thodi hai