tu aankh ke raste se mere dil mein utar ja tu ashk-e-wafa ban ke in aankhon mein thahar ja murjhae hue phulon ko ek rang naya de ulfat ki ada ban ke tu raste se guzar ja tu meri khizan-shab ke andheron ko kiran de khushbu ki tarah dil mein har ek samt bikhar ja khamosh hain alfaz mere un ko zaban de is zulf se kah de kisi lamhe to sanwar ja kuchh aur nahin dil mein tamanna magar ai jaan tu pahle hi ek phul hai ab aur nikhar ja