wajud us ka kabhi bhi na luqma-e-tar tha

wajud us ka kabhi bhi na luqma-e-tar tha
wo har niwale mein danton ke bich kankar tha

alag alag the dil o zehn bad-nasibon ke
ajib baat hai har dhad pe ghair ka sar tha

na jaane hum se gila kyun hai tishna-kaamon ko
hamare hath mein mai thi na daur-e-saghar tha

lahuluhan hi kar deta pa-e-laghzish ko
subut deta ki wo raste ka patthar tha

bahut hi khub tha wo indimal se pahle
ki zakhm-e-taza to dagh-e-siyah se behtar tha

qarib khatm tha gulshan ka karobar 'zahir'
rag-e-gulu ko magar intizar-e-khanjar tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close