walwala dil ka badha zulf-e-dota ko dekh kar mast mai-kash ho gaya kali ghata ko dekh kar shad hai yun dil nigah-e-dil-ruba ko dekh kar aashna jis tarah khush ho aashna ko dekh kar allah allah ye tadap is tarah ki waraftagi dilruba khud lot hai dil ki ada ko dekh kar kahte hain wo hashr ke din kaun hoga dad-khwah yaad rah sakta hai kab banda khuda ko dekh kar tum kahan se aa rahe ho aise ghabrae hue kya kahenge dushman is chaak-e-qaba ko dekh kar phir chala aata hai naseh maghz khane ke liye kanp jata hai mera dil is bala ko dekh kar us gali ka josh-e-wahshat mein pata milta na tha khul gain aankhen si tere naqsh-e-pa ko dekh kar pad gai thi tere dil mein jo girah wo khul padi wa hua ye uqda wa band-e-qaba ko dekh kar kucha-e-aghyar mein ye be-khudi kaisi 'khayal' ud gae ausan kis ke naqsh-e-pa ko dekh kar