pur-nur hai jahan mohabbat ke dagh se raushan hai dair-o-kaba usi ek charagh se bulbul ke nale aur bhi wahshat badhaenge tafrih khak hogi mujhe sair-e-bagh se kafi hai sarkhushi ko meri yaad-e-chashm-e-mast mina se kuchh gharaz hai na matlab ayagh se allah munimon ko bhi kya hi ghurur hai lete hain ye salam bhi to kis dimagh se duniya mein jis ne jitne kiye kam talluqat utni hi us ne apni basar ki faragh se dil de na koi kohkan aur qais ki tarah aati hai roz-o-shab ye sada koh-o-ragh se be bahs agar talash se hota husul-e-kaam pa leta aab-e-khizr sikandar suragh se hum rakh den us ke aage kaleja nikal kar sun len khabar jo yar ke aane ki zagh se furqat mein ranj-o-gham hai faraghat kahan 'khayal' koson hai dur ye dil-e-mahzun faragh se