wan to milne ka irada hi nahin yan wo khwahish hai ki hota hi nahin yun satane ke to laeq the na hum aap ne kuchh hamein samjha hi nahin jis se taskin ho meri ai qasid aisi to baat tu kahta hi nahin aur bhi aisi to baaten hain bahut gila-e-ranjish-e-beja hi nahin le gain nichi nigahen dil ko aankh utha kar abhi dekha hi nahin rashk-e-dushman se nasihat hui aap dil wahan jaane ko hota hi nahin aur jo zulm ho manzur mujhe ghair se rabt gawara hi nahin yan to ye muntazir-e-wada hum aur wan yaad wo wada hi nahin rabt-e-dushman se hai inkar abas hamein is baat ka shikwa hi nahin hum khuda se bhi nahin mangte kuchh yan koi apni tamanna hi nahin na sahi koi burai na sahi tum se milna mujhe achchha hi nahin us ki har baat ko sach samjhe 'nizam' us sa ayyar to paida hi nahin