parinde puchhte hain tum ne kya qusur kiya wo kya kahen jinhen hijrat ne ghar se dur kiya yahi bahut hai ki us ahd-e-be-payambar mein kahin charagh kahin khwab ne zuhur kiya ye mera khak mein milna basa ghanimat hai ki main ne ijz ki khatir bahut ghurur kiya falak se phenk ke dekha ki tutne ka nahin gira ke apni nigahon se chur chur kiya ghubar-e-dar-ba-dari jis ne kar diya mujh ko musafiron ko usi dhup ne khajur kiya