waqar-e-ishq badhane pe tanz karte hain kisi ke naz uthane pe tanz karte hain main jaan-bujh ke jab in ko chhod deta hun shikar mere nishane pe tanz karte hain ajib baat hai yaro har ek zamane mein zamane wale zamane pe tanz karte hain tujhe khabar hi nahin hai ai maskhare kuchh log tere mazaq udane pe tanz karte hain surur-e-ishq ka un ko maza nahin malum jo log nind na aane pe tanz karte hain wo jaante hain ki mahfil ki aabru main hun jo mere bazm mein aane pe tanz karte hain nahin hai sher-o-adab se jinhen lagaw 'zafar' wo log mere gharane pe tanz karte hain