lahu mein aaj-kal hiddat bahut mushkil se aati hai kisi ke dard ki chahat bahut mushkil se aati hai ye sach hai jurat-e-rindana se qismat badalti hai magar har shakhs mein jurat bahut mushkil se aati hai ki is ke waste neze pe sar ko rakhna padta hai miyan haq-goi ki taqat bahut mushkil se aati hai gharibi ko to mil hi jati hai do waqt ki roti magar daulat ke ghar rahat bahut mushkil se aati hai lahu ka ghunt bharte hain tabhi chashma ubalta hai kisi ke sher mein jiddat bahut mushkil se aati hai yahan par chand sikkon ke ewaz iman bikta hai dilon mein din ki chahat bahut mushkil se aati hai