waqt ab sar pe wo aaya hai ki sar yaad nahin tere diwanon ko bhi ab tera dar yaad nahin hae wo shab jo tere wada-e-shab mein guzri hae wo shab hai ki jis shab ki sahar yaad nahin zindagi kaise kati dawar-e-mahshar ye na puchh wo safar yaad to hai rakht-e-safar yaad nahin mere aamal pe jae to ye samjhunga tujhe yaad hai daman-e-tar dida-e-tar yaad nahin pyar se ab bhi wo takte hain mujhe par un ko jis ne dil lut liya tha wo nazar yaad nahin umr-bhar tham ke us shokh ka daman roe 'soz' kya us pe hua us ka asar yaad nahin