mohabbat umr bhar ki raegan karna nahin achchha sambhal ai dil ana ko aasman karna nahin achchha kuchh aise raaz hote hain bayan karna nahin achchha har ek chehre ki sachchai ayan karna nahin achchha kisi nakaam hasrat ki jo sulge aag sine mein hawa yaadon ki mat dena dhyan karna nahin achchha chaman mein hun to phir main bhi chaman ka ek hissa hun taghaful itna mere baghban karna nahin achchha hifazat se utaro ashk-e-gham ko dil ki sipi mein kisi qatre ko bahr-e-be-karan karna nahin achchha ujale hi nahin hai tirgi bhi zist ka hasil ki in tarikiyon ko be-zaban karna nahin achchha