waqt ajib aa gaya mansab-o-jah ke liye

waqt ajib aa gaya mansab-o-jah ke liye
sahib-e-dil bhi chal pade takht-o-kulah ke liye

mere ghanim-e-surkh-ru arsa-e-sad-shikast mein
koi nawed-e-sar-khushi meri sipah ke liye

us ka hadaf bhi dekhna meri taraf bhi dekhna
qatl-e-ana ki shart hai is se nibah ke liye

mausam-e-gul ko kya khabar shorish-e-abr-o-baad mein
tair-e-dil udas hai shakh-e-panah ke liye

ek nawa-e-atishin halqa-ba-halqa jism mein
phir hui hai taza-dam taza gunah ke liye

kahta tha koi shama-rukh dekh mere charagh-e-shab
koi kiran bacha ke rakh roz-e-siyah ke liye

ek shab-e-mah ke liye dil hai lahu lahu 'razi'
aankh sitara-kesh hai ek shab-e-mah ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close