waqt ajib chiz hai waqt ke sath Dhal gae

waqt ajib chiz hai waqt ke sath dhal gae
tum bhi bahut badal gae hum bhi bahut badal gae

mere labon ke waste ab wo samaaten kahan
tum se kahen bhi kya ki tum dur bahut nikal gae

tez hawa ne har taraf aag bikher di tamam
apne hi ghar ka zikr kya shahr ke shahr jal gae

mauja-e-gul se ham-kanar ahl-e-junun ajib the
jaane kahan se aae the jaane kidhar nikal gae

shauq-e-visal tha bahut so hai visal hi visal
hijr ke rang ab kahan mausam-e-gham badal gae

surat-e-haal ab ye hai ki log khilaf hain mere
ai mere ham-khyal-o-khwab tum to nahin badal gae

bu-e-gul aur hisar-e-gul ahl-e-chaman pe zulm hai
apni hudud-e-zat se jaan ke hum nikal gae

aab-e-hayat jaan kar zahr piya gaya yahan
zahr bhi khamushi ka zahr-e-jism tamam gal gae

sham-e-badan bhi the kai rah-e-junun mein ham-safar
tab-e-muqawamat na thi dhup padi pighal gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close