waqt be-waqt ye poshak meri tak mein hai jaanta hun ki meri khak meri tak mein hai mujh ko duniya ke azabon se darane walo ek aalam pas-e-aflak meri tak mein hai sanp har dasht mein karta hai taaqub mera bahr-e-be-ab ka tairak meri tak mein hai jama karta hai shawahid mere hone ke khilaf dar-haqiqat mera idrak meri tak mein hai hai mere gird hifazat ke liye ek hisar ho agar koi ghazabnak meri tak mein hai us se kahna mujhe hasil hai tahaffuz ghaibi jo pas-e-parda-e-be-chaak meri tak mein hai wo to yun hai ki bachata hai bachane wala warna ek lashkar-e-saffak meri tak mein hai ek taraf ruh wazu mein nahin hoti shamil ek taraf sajda-e-napak meri tak mein hai aashna ek hai is shahr mein 'asim' mera aur wo dushman-e-bebak meri tak mein hai