mile jo naqa-e-wahshat ko sarban koi dikhaun qafila-e-khwab ka nishan koi khamoshiyon hi se mashrut hai janam mera so meri rakh se uthta nahin dhuan koi khasara aur hi hota tha be-ghari ka magar mujhe makan mein rakhta hai be-makan koi kisi se hone na hone ke darmiyan ho jo rabt wahin to rabt mein aata hai darmiyan koi suragh de ke mujhe meri be-zabani ka mujhi mein aan basa mujh sa be-zaban koi tu mere aks ko mizan-e-aina mein na tol utha raha hai abhi meri kirchiyan koi tere khayal ki aabaadiyan chhupati hun ki mujh se chhin na le meri bastiyan koi