waqt bose ke mera munh us ke lab se jun juda gard-e-gham hui dil mein mithi jaise shakkar ka puda be-ziya suraj ke phirne se ho jaise aaina nur-e-jaan dil se gaya jun us ka rukh mujh se muda kya bala pathraw thin us sang-dil ki galiyan le gaya sara tha shisha dil ka mein liyaya tuda bagh mein jawe wo wahshi-chashm agar mast-e-sharab nargis us upar nisar-e-sim-o-zar dewe uda in labon ke bose ke lalach mein jalta hai bahisht sun le 'uzlat' kan dhar kahta hai huqqa gudguda