waqt-e-ruKHsat shabnami saughat ki baaten karo

waqt-e-rukhsat shabnami saughat ki baaten karo
zikr ashkon ka karo barsat ki baaten karo

apni mitti ka bhi tum par haq hai samjho to sahi
chand suraj ki nahin zarraat ki baaten karo

khun-e-insan se hui hai subh jis ki dagh-dar
chand hi lamhe sahi us raat ki baaten karo

kab talak uljhi rahegi zulf-e-jaanan mein ghazal
dosto kuchh aaj ke haalat ki baaten karo

mausam-e-gul mein agar karni hon kuchh baaten 'wali'
phul ki khushbu ki aur naghmat ki baaten karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close