waqt ka sail-e-rawan sham-o-sahar hain hum log jis ki manzil nahin koi wo safar hain hum log hum se mil kar bhi zamana nahin waqif hum se ahl-e-danish ke hijabaat-e-nazar hain hum log zindagi kitne andheron se ibarat hai magar zulmaton ke liye paigham-e-sahar hain hum log istilah-e-rah-o-manzil mein na dhundo hum ko rahraw-e-manzil-e-be-rahguzar hain hum log khoe khoe se shab-o-roz ke hangamon mein kis ko malum ki kis waqt kidhar hain hum log apni be-namwari wajh-e-garan-qadri hai hath lag jaen to anmol guhar hain hum log hum ko samjhoge to duniya ko samajh paoge hama-tan waqt ki khamosh nazar hain hum log hum se qaem hain bahaaren chaman-e-hasti ki lekin apne liye ek zakhm-e-jigar hain hum log husn-e-kirdar ko aslaf ke jab dekhte hain kuchh samajh mein nahin aata ki kidhar hain hum log kya yaqin aae zamane ke badal jaane ka kal bhi the aaj bhi nashtar-ba-jigar hain hum log aarzu-khez ho jo waza-e-kam-amezi se 'shauq' wo raushni-e-fikr-o-nazar hain hum log