kabhi nashat kabhi dard-e-be-karan guzre

kabhi nashat kabhi dard-e-be-karan guzre
bas ek mujh pe hi lamhat-e-imtihan guzre

pahunch sake na wahan fikr-o-agagi wale
teri nigah ke mare jahan jahan guzre

meri wafa ka fasana tere fasane mein
ajab nahin ki yahi zeb-e-dastan guzre

kahin jhuki na jabin tere sang-e-dar ke siwa
rah-e-niyaz se kitne hi aastan guzre

jo teri yaad ki lazzat se rah gae mahrum
hayat ke wahi lamhat raegan guzre

koi to jam-ba-kaf ho koi tamashai
nasib phute jo aison ke darmiyan guzre

nigah-e-lutf ne khud badh ke muddaa puchha
teri gali se kuchh aise bhi be-zaban guzre

khabar bhi hai 'qamar'-e-sust-e-gam-o-wamanda
sahar se pahle sitaron ke karwan guzre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close