waqt ka zalim andhera chha gaya tadbir par

waqt ka zalim andhera chha gaya tadbir par
bas kahan chalta hai kuchh insan ka taqdir par

yas mein dubi hain aankhen aur pazhmurda se lab
aap dekhenge to hans denge meri taswir par

aap ke maktub se zakhmon ke lab phir khul gae
shukriya-sad-shukriya is shokhi-e-tahrir par

main agar mahfil mein us ki ho gaya ruswa to kya
aap to khush ho gae ai dost is tahqir par

muflisi diwangi aawargi mera nasib
dang hun logo suhane khwab ki tabir par

main agar bad-nam ho jaun to mera hai bhala
kya milega tum ko meri muft ki tashhir par

dil ki basti mein hain garche aarzuon ke khandar
phir bhi hun 'shahzad' nazan apni is jagir par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close