zindagi jehd-e-musalsal aur sila kuchh bhi nahin

zindagi jehd-e-musalsal aur sila kuchh bhi nahin
ji raha hun jaise jine ka maza kuchh bhi nahin

aur honge jin ko milta hai wafaon ka sila
yan to sab kuchh kho diya lekin mila kuchh bhi nahin

sah raha hun kab se na-karda gunahon ka azab
ai khuda kaise kahun meri khata kuchh bhi nahin

gardish-e-haalat se bas phadphada utthe hain lab
aap ye sach jaaniye ki muddaa kuchh bhi nahin

main ne ai 'shahzad' duniya bhar ko sab kuchh hi diya
par ye duniya kaisi hai is ne diya kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close