waqt ke hathon majbur hote gae

waqt ke hathon majbur hote gae
tum kisi se bahut dur hote gae

dhul qadmon ki chehre pe kya mal liya
aur bhi hum to pur-nur hote gae

is tarah hum ne un ko nakara ki phir
wo hamein aur manzur hote gae

jaane kya chiz pas un ke aati rahi
un ki nazron se hum dur hote gae

meri ghazlon mein nam un ka aata raha
dhire dhire wo mashhur hote rahe

meri yaaden hawa ban ke udti rahin
sare qisse bhi kafur hote gae

un ki yaadon ne bimar mujh ko kiya
aur idhar wo bhi bharpur hote gae

dur rakkha bahakne se mujh ko magar
aur nashshe mein khud chur hote gae

jin ko samjha tha mamuli hain zakhm ye
'anjana' wo to nasur hote gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close