waqt ke kitne hi dhaaron se guzarna hai abhi zindagi hai to kai rang se marna hai abhi kat gaya din ka dahakta hua sahra bhi to kya raat ke gahre samundar mein utarna hai abhi zehn ke reze to phaile hain faza mein har su jism ko tut ke har-gam bikharna hai abhi ye saje baam jawan chandni yun lagta hai ek sitam aur tere shahr ne karna hai abhi ek ek rang uda le gai be-mehr hawa kitne khake hain jinhen 'sham' ji bharna hai abhi